Ek akela rahi
Khada tha do raahe par,
Kaun si disha chunu main
Jeewan ki patwaar par.
Man chahe main jaoon videsh
Seekhoon unki bhaasha aur vesh-vibhesh,
Banaoon apne sapno ka aashiyaan,
Kamaoon dollar aur bas jaoon wahaan.
Pyar hai mujhe apne vatan se
Na chod kar ja sakoon kabhi,
Itni hariyaali, itni khushhaali
Aur maa-papa ka dulaar.
Na chuka sakoon main inke rin ko
Mujhe bas apne desh se pyar.
Main hoon asmanjas mein
Kyan karoon,kya na karoon,
Man aur pyar ke iss jung ko,
Kaise main suljha sakoon.
Tera naam lekar Aye Khuda!
Mere liye kar ek sahi fhaisla,
Bhavnao ki iss jung ko,
Kar tu mujhse fanaa.
Khuda ka fhaisla hai yeh doston
Pyar ki jeet hui aur man ki haar.
Mera vatan mujhe bula raha hai,
aa lag ja gale aur karle mujhse pyar.
Desh ki seva mera kartavya
Le jaoongi use unnati ke path par,
Hai yeh mera wada tujhse Ae Vatan!
Ab jiyoon,maroon issi maati par.
Sone ki chidiya ki hai pukaar...........
"Mere sang aa,Ae Hindustaani!
Tu kya karega videsh mein?
Yahaan rituen hai, tyohaar hai,
Fhoolon ki bahaar hai.
Taal hai, jharne hai,
Dekho kitne apne hai.
Ped ke chaav hai,
Khaane ko rasile aam hai.
Khet hai,khaliyaan hai,
Mere har ansh mein shaan hai.
Aur rahi ka jawaab.............
Kabhi tha main ek rahi,
Ab tune mujhe bana liya hai humrahi.
Hum saath mein mil kar bas;Yun ladeinge,
Magar tere aatmsamman par ek aanch na aane denge!!!!!!!!!!!